- लिंक पाएं
- X
- ईमेल
- दूसरे ऐप
Samgree
- Poha- 2 katori
- Hari mirchi - 4 se 6
- Pyaz - 1 barik kte huye
- Aaloo -1 barik kte huye
- Mungfalli dane - 1/2 tablespoon
- Mithi neem ki patti
- Jeera - 1/2 teaspoon
- Rai - 1/2 teaspoon
- Haldi powder - 1/2 teaspoon
- Red mirch powder - 1/2 teaspoon
- Namak - swad anusar
- Oil - 1 tablespoon
- Pani - 2cup
hara dhaniya barik kta hua
Barik fikhi sev
Spicy nukti
Barik kte huye pyaz
Jeeravan masala - 1 pinch(optional)
Nimbuslice
Indori Poha Bnane Ki Vidhi
Sabse phle hum poha ( mota poha use kre )ko ek bowl me lenge or use pani
me bhiga kr rakhege 10 min tk, phir poha full jane pr extra pani nikal le.
Uske bad hari mirch, pyaz or aaloo ko barik barik kat le ( barik kte huye pyaz se 1/4 kta hua pyaz alg nikal le).
Ek pan me oil garm hone rakhe garm ho jane pr usme jeera or rai ka tadka lagaye.
Uske bad usme barik kte huye aaloo or Mungfalli ke dane ko dale, or halke
brown hone de, gas ki aanch ko midium rakhe.
Jaise hi aaloo halke brown ho jaye usme pyaz or hari mirch dale or use
brown hone de uske bad usme haldi powder dale phir usme red mirch powder
dale (optional yadi spicy krna ho to) .
Phir usme fulla hua poha dale or use mix kre phir usme namk dale swad anusar or sbhi ko mix kre usme hara dhaniya barik kta hua dal, poha taiyar .
Phir use garnish kre ek plate me poha nikale or usme barik kta hua pyaz dale, phir usme nukti or sev se garnish kre, usme 1 pich Jeeravan powder dale, or use nibu slice ke sath serve kre.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
if u have any doubts, please let me know