- लिंक पाएं
- X
- ईमेल
- दूसरे ऐप
Samosa Recipe In Hindi | समोसा रेसिपी
Samagree
- Maida - 2 1/2
- Ghee|oil- 4 table spoon
- Ajwain- 1teaspoon
- Namak -swad anusar
Masalo ke liye
- 4 medium Aaloo
- Hari matar -1/2 katori
- Jeera, rai- 1/2 teaspoon
- Hari mirchi-2barik kti huyi
- Adrak ka paste-1/2 teaspoon
- Pyaz- 1/2 barik kta hua
- Lalmirchi pawder-1/2teaspoon
- Haldi -1/4 teaspoon
- Dhaniya- 1teaspoon
- Amchoor powder ,saunf powder
- Mithi neem ke pateelon or hara dhaniya barik kta
- Namak swad anusar
- Oil talne ke liye
Samosa Recipe In Hindi | समोसा रेसिपी
Vidhi
Sabse phle aaloo or matar (green ya sukhi le sakte h)agar sukhi ho to boil krne rakhege 10 min tk phir ek bowl me maida lenge usme ghee ya oil garam krke dalege phir namak, Ajwain dal mix krege or aata taiyar jise 10min tk kpda dak kr rakh denge uske bad aaloo or matar boil hone ke bad Hum masala taiyar krenge uske liye ek kadai m 1tablespoon oil garam krege usme jeera , rai dalege or phir pyaz or mirchi dalege halke brown hone pe usme lal mirchi powder or haldi, dhaniya powder mithi neem ki patti dale or phir thodi der me aaloo or matar dal de use mix kre phir usme namk, or aamchur powder dale or dhaniya se garnish kre.
Uske bad aate ke rol bna kr belan se gol bele or use half kr le jha se kata h use pani ki sahayta se geela kr le or dono parto ko chipka le shanku aakar me(dono side ek ke upper ek ho)or usme masala bhare or use upper se pani ki sahayta se geela ke chipka le sbi isi tarah bna kr 10 min ke liye refrigerator me rakhe .
Phir ek pan me oil garam kre or midium aanch pr sbi samoshe ko tale phir use chatnee kadi ya sauce ke sath parose.
aaj hi dekhe samosha banane ki recipe or Banaye chatpata shop jaise samoshe ghr me wo bhi jhatpat tarike se
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें
if u have any doubts, please let me know